2022 Me Durga Puja Kab hai ?
DURGA Maha nawami puja 2022 ki tarik wa muhurat
October 2022 { Mangalwar}
Durga maha nawami puja New Delhi , India ke liye ,
October 3, 2022 ko 16:39:33 se nawami aarambh
October 4, 2022 ko 14:22:52 par nawmai samapat
2022 Me Durga Puja Kab hai ?
Aaye janate hai ko 2022 me durga maha navami puja kab hai we durga maha nawami puja 2022 ki tarik wa muhurat . Mahanawami durga puja ka tisra or antim din hota hai. Es din ki shuruwat bhi mahasanan or podashpachhar puja hoti hai. Mahanawami par dewi ki aradhana mahishasur mardani ke tor par ki jaati hai. Eska matalab hai Ashur mahishasur ka nash karne wali . Manyta hai ki es din maa durga ne mahishasur ka wadh kiya tha .
Es din mahanawami puja , nawami hawan or durga balidan jesi parampara nibhai jati hai.
2022 Me Durga Puja Kab hai ?
Read also 2023 में होली कब है
Kab manai jati hai mahanawami
● yadi nawami tithi ashtami ke din hi prarambh ho jaati hai. To nawami puja or uowash ashtami ko hi kiya jata hai.
● Shastron ke anusar yadi ashtami ke din santa kaal se pahle ashtami or nawami tithi ka vilay ho jata hai. To esi esththi me ashtmai puja , nawmai puja or sandhi puja uso din karne ka vidhan hai.
Durga balidaan
Durga balidaan me dewi shakti ko bali chadhane ki parnpara hai . Halaki jo log bali ki pratha ko sahi nahi manate hai. We pratikatmak tor par fal yaa sabji jese kela , kaddu , or kakdi ko bali chadha sakte hai. Bharat ke jyadatar ilako or samudaay me pashu bali pratibandhit hai.
Paschim bangal ke wellur math me nawami puja ke din pratik ke tor par kaddu or ganne ki bali chadhai jaati hai . Durga balidaan ke liye safed kaddu ka upyog karna krishmanud ke tor par jana jata hai. Dhyaan rahe ki durga balidaan ki parnpara hamesha udaywashipini nawami thithi ko hi karna chahiye .Nirnay sindhu ke anushar nawami ke din uprah kaal me durga balidaan kiya jata chahiye .
Read also Mini ATM pack - RNFI services
Read also बिना ओटीपी के whatsapp कैसे चलाएं - how to run whatsapp without otp
Nawami Hawan
Mahanawami ke din nawami hawan ka bada mahtaw hai. Yah hawan nawami puja ke baad kiya jata hai. Nawami hawan ko chandi hom bhi kaha jata hai. Maa durga ke bhakt nawami hawan aayojit kar dewi shakti se behtar swasth or samridhi ko kamana karte hai.
Dhayan rahe ki nawami ka hawan hamesha dopahar ke samay kiya jata hai. Hawan me doran partek aahuti .
Aaye janate hai ki 2022 me durga maha ashtami puja kab hai wa durga maha ashtami puja 2022 ki tarik wa muhurat. Durga puja ke dusre din mahaasthmi manai jati hai. Ese maha durgaasthmi bhi kahte hai. Mahaashtmi ke din desi durga ki puja ka vidhan thik mahasapthami ki trah hi hota hai. Halaki es din praan partisha nahi ki jaati hai. Mahaasthmi ke din mahaasan ke baad maa durga ka posadshor pujan kiya jata hai.
Mahaasthmi ke din mitti ke Nine kalash rakhe jaate hai. Or dewi durga ke nowe rupo ka dhayan kar unka aashan kiya jata hai. Mahaasthmi ke din maa durga ke nowe rupo ki puja hoti hai.
Kumari puja
Mahaasthmi ke din kumari puja bhi hoti hai. Es awshar par awiwahit ladki ya chhoti balika ka shrinagar kar dewi durga ki trah unki aradhana ke nowe dino me kumari puja hoti hai. Kumari puja ko kanya puja kumari ka puja aadi naamo se jana jata hai.
Dharmik manyta ke anusar 2 se 10 saal aayu ki kanya kumari puja ke liye upyukt hoti hai. Kumari puja me ye balika ye dewi durga ke wibhin rupo ko darshati hai…..
1. Kumari ka
2. Trimurti
3. Kalyani
4. Rohini
5. Kaali
6. Chandika
7. Shanbhawi
8. Durga
9. Bharda ya subhadra
Sandhi puja
Mahaasthmi ko durga puja ka mukhy din mana jata hai. Mahaashtmi par sandhi puja hoti hai. Yah puja asthmi or nawami dono din chalti hai. Sandhi puja me asthmi samaapt hone ke antim 24 mint or nawami Prambh hone ke shuruaat 24 mint ke samay ko sandhi chhan yaa kaal kahte hai. Sandhi kaal ka samay durga puja ke liye sabse subh mana jata hai. Kyoki yah wah samy hota hai. Jab asthmi tithi samapat hoti hai. Or nawami tithi ka arambh hota hai. Manyta hai ki es smay me dewi durga ne prakat hokar Ashur chand or mund ka wadh kiya tha .
Sandhi puja ke samay dewi durga ko pashu bali chadhai jaane ki parampra hai . Halaki aab maa ke bhakt pashu bali chadhane ki bajay pratek ke tor par kela z kaddu , or kakdi jese fal we sabji ki bali chadhai jati hai. Hindu dharam me aab bahut se samudayon me pashu baki ko sahi nahi mana jata hai. Pashhu hissa rokne ke liye bali Ki parnpara ko puri trah pratibandh kar diya gya hai. Paschim bangal ke wellur math me sandhi puja ke samay partik ke tor par kela ki bali chadhai jaati hai. Eske alawa sandhi kaal ke samay 108 dipak jalaye jaate hai.
Counseling
To dosto jese ki mene apko bataya ki durga ke riti riwaj ke durga puja kese manaya jata hai. Esme kya - kya hota hai. Or Durga puja kab manaya jata hai. Or 2022 me durga puja kab hai . Ye sare jankari apko me bata hi diya hai. Jisse aap behad asani se jaan sakte hai. Ki 2022 me durga puja kab hai.
To Aap bahut hi asani se durga puja ke liye ghar aa skate hai. Eske sath hi 2022 ke durga ke enjoy bhi le skate hai. Yaa aap durga puja kar skate hai.
To dosto kya Durga puja ko lekar kya aapke man me koi sawal hai. Kya hame comment box me jarur bataye . Taaki Verma News ke teem aapke sawalo ka jabab behad asani se de Sake.
To umeed karta hau. Ki ye jankari apko kafi achha laga hoga . To ese hi amazing fects ko lagatar padhne ke liye hamare blogg ko subscribe jarur kare. To aaj ke liye bas itna hi ab ham chalte hai. Phir milenge new post ke sath tab tak hamare blogg ke anth tak bane rahne ke liye aap sabhi logo ka dil se dhanywad ….
Read also what is the difference between hiv and aids.
Read also Facebook account verify kaise kare?
Read also what is papita? What are the benefits of eating papaya?
No comments:
Write comment